Some changes are made in the latest session
Hadees e Mubarika say Waziha hai kay jung e ohad main Kuffaar nay Sarqaar e Do Alam S.A.W kay Dandaan Mubarik ko Shaheed kiya aur Hazrat Hamza bin Hazrat Abdul Mutlib R.A Shahadat kay maqam per faaiz ho gaye. Aur boht say Muslims Maktool howay. Aur oos roz Ameer ul Momineen Hazrat Ali R.A Sarqaar e Do Alam Huzoor S.A.W kay hamrah nahin thay. Oos waqt Allah Paak nay Hazrat Jibraeel A.S kay zariye Aaqa e Do Alam S.A.W ki khidmat main kehla bhaija kay in Kalmaat Shareef (Naad e Ali R.A) kay zariye apnay bhai Hazrat Ali R.A ki talab karen.
Hasb e Irshad Sarqaar e Do Alam S.A.W nay apni zubaan e Mubarik say Naad e Ali R.A jaari farmaya. Bawajood doori masafat kay Sarqaar e Do Alam S.A.W ki awaaz Mubarik Shah e Mardaan Shair Yazdaan Hazrat Ali R.A kay gosh mubarik tak pohanchi. Hazrat Ali R.A nay oosi waqt farmaya Labbaik Ya Rasool Allah S.A.W aur osi waqt raasta taih ker kay Sarqaar e Do Alam S.A.W ki khidmat e aqdas main pohanch gaye. Sarqaar e Do Alam S.A.W ko Maqtoolon main mulahza ker kay aap nay apni zulfiqar e haideri bay nayam ki aur kuffar ko tay taigh ker diya aur lashkar e Islam fatah yaab howa.
Naad e Ali