Some changes are made in the latest session
There are numerous ways in order to preserve fruits and vegetables, among which the most common are Murabbay, Jam, Jelly, Marmalade, Achaar, Chatni etc. In tareekon per ziyada ter tijaarti halqon ki ijaara daari hai. Yeh ishtihaar bazi aur naam o namood ka zamaana hai. Laug impress ho ker bazar ki masnoo-aat khareednay per majboor ho jatay hain. Kam hi gheron main in tareekon say faa-ida uthaya jaata hai. Aisa kuch is liye bhi hota hai ke hum main say aksariyyat education say behra--war nahin hain. Boht say matters main in ki guidance kay liye koe nahin hota. Fruits and vegetables ko presevre kernay kay tareekon ko agar gherailu sana't kay taur per apna liya jaaye to is say door rus results haasil ho saktay hain. Agricultural production mehfooz honay kay sath sath kisi hadd tak bay rozgari kay sadd e baab main bhi help mil sakti hai.
Chhoti sana-uton kay ilawa inhain gher per bhi khud tayyar kiya ja sakta hai. Indeed, jo cheezain khud gher per tayyar ki jayen gi woh comparatively bazar say cheaper aur maiy-aari hon ge. Household works complete kernay kay baad housewives aisy chotay chotay kaamon main dil bastagi ka samaan dhoond sakti hain. Aur maa-mooli expense say dining table per tarah tarah kay khaanon ka izafa ho sakta hai. In spite of low income, laug aasooda haal ho saktay hain..Bachon ko taleem kay sath sath chotay motay hunar seekhanay ka ehtamam bhi kiya ja sakta hai. Aur bachay dilchaspi say in kamon main apnay parents ka hath bta saktay hain. Aisi hi koshish is app kay zarie ki gaye hai jis k use say ap yeh sab kush being at home reh ker bna saktay hain.