Krishi Network: Kisan Ka App

Social
  • 0.00
(0 投票)

免费安装

1000000

应用安装

Android 5.0+

最低版本

带广告

广告

17.09.2019

发布日期

最近更改:

All new look for Krishi Network.
Faster, Reliable, and Accurate.

描述:

Pankaj Tripathi ji aur bhartiya kisano ko apne kheti ke liye Krishi Network-Kisaan App par bharosa hai. Kai Kisano ne is krishi app ko download kar ke rate kiya hai kheti ke liye sabse shrestha Kisan App Humara Agri app kheti aur bagwani sambandhit har samasya ka samadhan dene ke liye jaana jaata hai.pragatisheel kisan Rozana Kisan App ko Mandi Bhav, Mausam ka Purvanuman, Jaisi Jaankari ke liye istemal karte hain.

Krishi Network bhartiya Kisano ko pragatisheelta ke path par aage badhne aur unhe apne vyapar athwa rozgaar ko Swabhiman ke saath nibhane mein sahyog karta hai. Kisano ke har Sawal ka Jawab minuto mein. Yeh hamara sankalp bhi hai aur dharm bhi.



Krishi App kaise karta hai aapki sahayata Unnat kheti mein?


Hamare kisan saathi agriapp ki madad se kheti mein koi bhi naya prayog atmavishwas ke saath kar sakte hain. Unhe yahan par kheti samandhit jankari nishulka uplabdh karai jaati hai. Fasal aur kheti se juda har gyan uplabdh hai, jaise beez ka chayan, beez upchaar, beez ki kisam, mitti jaanch, mitti aur jameen ki tayyari, nursery, paudhe ya beez ki tayyari ewam ropan, jaivik aur rasaynik, ewam ropan, jaivik aur rasaynik urwarak ka chayan, sinchai, fasal suraksha, keetnashak, fafundinashak, katai, paidawar, bhandaran. Iske alawa kisan, kisan app par aas pass ke mausam ki jankari, mandi bhav bhi dekh sakte hain. Krishi Network app pe chune hue fasal, kheti aur bagbani ke anusar chetawni bhi di jaati hai.

Krishi Network ki sabse khaas baat hai humse jude fasal, kheti aur bagbaani ke expert. Hamare krishi expert kisano ki madad karte hain aur yeh sunischit karte hain ki kisan apne rozgaar aur vyapar mein har kadam atmavishwas ke saath aage badha sake. Hamare expert agriapp se jude kisan hain jinhone prasikshan aur apne anubhav se kheti aur bagbani mein ek naya mukaam paya hai. Aap apne aas paas ke vishesagyo ko kisan App pe dhundh kar unse apni fasal, beez, jaivik keetnashak, kheti aur bagbaani ki jankari mein salah le sakte hain.

Hamare kisan app pe kisano ko apne aas paas ki fasal, beez, jaivik keetnashak, kheti aur bagbaani se jude dukandaro ki suchi bhi milti hai jinhe wah call kar sakte hain aur saman bhi mangwa sakte hain. Ye dukandar kisan ki jaroorat ka har saman bechte hain jaise ki beez, tractor, keetnashak, fafundinashak, urwarak, khaad, katai, chatai, sinchai se jude sabhi upkaran ewam machine.

👉Kisan App pe 15 minute me milte hain kheti se jude sawalon ke jawab


Saathi kisan app mein agriculture se jude sawalo pooch saktein hain Jisse aap fasal, kheti aur bagbaani ke karyo ko behtar plan kar sakte hain. Is suvidha se ek pragatisheel kisan apne fasal ki raksha ke liye jaivik upay, ya fir keetnashak, ka sahi chayan karne mein saksham ho jaate hain.

👉Krishi app pe Agriculture experts se judne ka mauka


Agriculture Experts se judkar Apni Kheti se sambandhit sawal jawab kar fasal ki jankari le sakte hain.

👉Krishi app pe Krishi Visheshagyon dwara apne sawal ka jawab payein


Fasal, kheti aur bagbaani mein keet prabandhan, plant disease, rog prabandhan ke jaivik upay ewam keetnashak ki suvidha - bas fasal ke rogi hisse ki photo bheje aur krishi vishesagya batayenge upay. Jaane jaivik kheti, keet nashak ki upyog padhatti jisse mile surakshit fasal, kheti aur bagbaani, saath hi behtar aur sehatmand paidawar. Kisan app pe photo daal kar minuto mein upay paayein.

👉 Krishi app pe kheti aur bagbaani


gehu ki kheti, dhaan ki kheti, jaivik kheti, sabji ki kheti, snaj ki kheti, tamatar ki kheti. Agri farming app par alag alag prakar ki kheti ke baare mein jaan sakte hain.

Yeh ek gair sarkari app hai. Kisi sarkari kisan app se juda hua nahi hai.

कृषि नेटवर्क : किसान का स्वाभिमान 其他应用

Krishi Network: Kisan Ka App

Krishi Network: Kisan Ka App

कृषि नेटवर्क : किसान का स्वाभिमान
  • 0.00
Gram Pracharak : Kisan Mitra

Gram Pracharak : Kisan Mitra

कृषि नेटवर्क : किसान का स्वाभिमान
  • 0.00
Krishi Safal

Krishi Safal

कृषि नेटवर्क : किसान का स्वाभिमान
  • 0.00
下载