Story of Hazrat Ayub in Urdu

Pak Appz

Story of Hazrat Ayub in Urdu

آموزش
  • 0.00
(0 رای)

نصب رایگان

100

نصب ها

Android 4.4+

نسخه حداقل

با تبلیغات

تبلیغات

11.04.2022

تاریخ انتشار

توضیحات:

Hazrat Ayub ka imtihan aur unka sabar

Hazrat Ayub علیہ السلام Hazrat Ishaq علیہ السلام ki aulaad mein se hain aur un ki walida Hazrat Loot ke khandan se hain. Allah pak ney aap ko har terhan ki nematon se nawaza tha. Hussan soorat bhi aur maal o aulaad ki kasrat bhi, be shumaar maweshi aur khait o baagh waghera ke aap maalik they. Jab Allah pak ney aap ko azmaish o imtihan mein dala to aap ka makaan gir parra aur aap ke tamam ferzandan is ke neechay dab kar mar gaye aur tamam janwar jis mein senkrron oont aur hzarha bakriyan theen, sab mar gayen. Tamam khaitiyan aur baaghat bhi barbaad ho gaye. Gharz aap ke paas kuch bhi baqi nah raha.

Aap ko jab un cheezon ke halaak o barbaad honay ki khabar di jati thi to aap hamd Ellahi karte aur shukar baja laatay they aur farmatay they ke mera kya tha aur kya hai jis ka tha os ny le liya. Jab tak os ny mujhe day rakha tha mere paas tha, jab os ny chaha le liya. Main har haal mein oski Raza par raazi hon. Es ke baad aap bemaar ho gaye aur aap ke jism mubarak par barray barray aablay par gaye. Es haal mein sab logon ny aap ko chorre diya, bas faqat aap ki biwi jin ka naam “Rehmat Bint Ifraeem” tha. Jo Hazrat Yousuf ki poti theen, aap ki khidmat karti theen. Salha saal tak aap ka yahi haal raha, aap aabon aur phorron ke zakhmon se barri taklifoon mein rahay.
Faiday ki baat

Aam tor par logon mein mashhoor hai keh Maaz Allah aap ko korh ki bemari ho gayi thi. Chunancha baaz ghair mooatbar kitabon mein aap ke korh ke baray mein bohat si ghair mooatbar dastaneen bhi tehreer hain, magar yaad rakho keh yeh sab baatein sar ta pa bilkul ghalat hain aur har giz har giz aap ya koi nabi bhi kabhi korh aur jazam ki bemari mein mubtala nahi hua. Is liye ke yeh masla mutfiq aleh hai keh Anbia ka tamam un bimarion se mehfooz rehna zurori hai jo awam ke nazdeek baais nafrat o hiqarat hain.

Kyunkay Anbia ka yeh farz mansabi hai keh woh tableegh o hidaayat karte rahen to zahir hai keh jab awam un ki bimarion se nafrat kar ke un se daur bhagain ge to bhala tableegh ka fareeza kyon kr ada ho sakay ga? Algaraz Hazrat Ayub hargiz kabhi korh aur jazam ki bemari mein mubtala nahi hue balkay aap ke badan par kuch aablay aur phoray phinsiyan nikal aayi theen jin se aap barson takleef aur mushaqqat jheltay rahay aur barabar sabir o Shakir rahay. Phir aap ne bahukum e Ellahi apne Rab se youn dua mangi:

اَنِّیۡ مَسَّنِیَ الضُّرُّ وَ اَنۡتَ اَرْحَمُ الرّٰحِمِیۡنَ ﴿ۚۖ83﴾ [1]

Tarjuma : Bay shak mujhe takleef pohanchi hai aur to sab reham karne walon se barh kar reham karne wala hai.
.
Hazrat Ayub علیہ السلام ki kamyabi

Jab aap khuda ki azmaish mein poooray utre aur imtihan mein kamyaab ho gay to aap ki dua maqbool hui aur Allah pak ne hukum farmaya keh ae Ayub! apna paon zameen par maro. Aap naay zameen par paon mara to foran aik chashma phoot para. Hukum e Ellahi hua keh is pani se ghusal karo. Chunancha aap naay ghusal kiya to aap ke badan ki tamam bemariyan daur ho gayeen. Phir aap chalees qadam daur chalay to dobarah zameen par qadam maarny ka hukum hua aur aap ke qadam maartay hi phir aik dosra chashma namodaar ho gaya jis ka pani be had thanda, bohat sheree aur nihayat lazeez tha.

Aap naay woh pani piya to aap ke batin mein noor hi noor peda ho gaya. Aur aap ko aala darjay ki sahet o nooraniyat haasil ho gayi aur Allah pak naay aap ki tamam aulaad ko dobarah zindah farma diya aur aap ki biwi ko dobarah jawani bakhshi aur un ke kaseer aulaad hui. Phir aap ka tamam halaak shuda maal o maweshi aur asbaab o samaan bhi aap ko mil gaya balkay pehlay jis qader maal o doulat ka khazana tha os se kahin ziyada mil gaya.
100 duray maarny ki qisam

Es bemari ki haalat mein aik din aap ny apni biwi sahibaa ko pukara to woh bohat der kar ke haazir huien is par gussa mein aa kar aap ny un ko 100 duray maarny ki qisam kha li thi. To Allah pak ny farmaya keh ae Ayub aap aik sankon ki jharoo se aik martaba apni biwi ko maar dijiye is terhan aap ki qasam poori ho jaye gi.

Pak Appz برنامه های دیگر

دانلود