In the latest version 7.0, accidental appearance of full screen ads has been fully removed
Kalam Khwaja Ghulam Fareed R.A 26 Zeeqaad 1261 Hijri 1833 mai Chachraan Shareef main paida howay. Aap kay walid ka naam Hazrat Khuda Bakhsh R.A tha.
Jab apki umer chaar saal hoe to apki walida sahiba ka intiqaal ho gya. Walida Sahiba kay intiqal kay sirf chaar baras baad ap kay walid e garaami ka saya bhi ser say uth gaya. Walidain kay intiqaal kay baad apki taleem o tarbiyat ki zimmadaari apkay brother buzurg Hazrat Khwaja Fakhr ud Din R.A nay sambhaali. woh Persian kay boht baray poet thay.
Jub aap kay walid e giraami ki wafaat hoe to waalie Bahawalpur aap kay brother Hazrat Fakhruddin R.A say derkhwast ki kay apki perwarish aur taleem o tarbiyat shahi mehal main ho. So apki perwarish boht he shahaana andaz main hoe pher bhi aap main tamaam ter derwaishana khasoosiyat mojood theen. Aap nay Bahawalpur kay desert main ibadaat aur mujahiday kiye. Wahan aap nay aik jhonmpri bana li the aur wahin rehtay thay.
Aap ka kalaam soz o gudaaz say bhara howa hai isliye apka kalaam apnay ander asar rakhta hai. Aap nazriya e Wahdat ul wajood kay qaayel thay. Aap 6 Rabi us Saani 1319 Hijri 2 July 1901 ko is jahaan e faani say wisaal ferma gaye.